Siachen Ke Shuhda Ke Naam

Disclaimer*: The articles shared under 'Your Voice' section are sent to us by contributors and we neither confirm nor deny the authenticity of any facts stated below. Parhlo will not be liable for any false, inaccurate, inappropriate or incomplete information presented on the website. Read our disclaimer.

siachen-tragedy-pakistan-army

Har soo sirf baraf thy
Woh siachen ke mahaz par khara
Apna aadha iman mukammal kar raha tha
Yeh barfani hawwa us ke jism ko jamma rahi thi
Lekin us ke jazbon ki aanch dheemi na hui
Woh janta tha ke dushman us ke qareeb tha
Lekin woh samajhta tha ke woh khush naseeb tha
Yeh barfani pahar buhat buland they
Lekin us ki muhabbat us se bhi buland thy
Woh apne saathiyon ko dekh kar
Aur josh mein aajata

siachin3

Achanak hi har taraf halchal mach gyi

Yeh goliyon ki aawazein

Woh allahu akbar kehte hue aage barha
Wahan un sab dushmnon se lar para
Lekin phir achanak hi
Ik goli us ke seene mein utar gyi
Woh jaan gya ke
Us ka bachpan ka khwab such hone laga hay
Us ne kalma parha aur asal manzil ki taraf chal diya
Us ka nojwan surk khoon watan ko
Hamesha ke liye sarsabz kr gya

siachen999

By Uzma Jabbar

sdcAlso See: Far Away (Poem)

 

 

 

dfsdgsdfAlso See: Bol Ke Lab Azaad Hain Tere (Poem)

To Top