[POEM] – Dil Hai Aurat Ka Toh Kia Dil Dil Nahi?

Disclaimer*: The articles shared under 'Your Voice' section are sent to us by contributors and we neither confirm nor deny the authenticity of any facts stated below. Parhlo will not be liable for any false, inaccurate, inappropriate or incomplete information presented on the website. Read our disclaimer.

Aaj main tumko batati hun
Aur tumko ye samjhati hun
Jo cheez hain hum agar jaanlo
Har baar qadam tum choomo ge


Sheesha nahi hain heera hain
Jisko sab ne cheena hai
Kisi ne saamaan samjha hai
Tou kisi ne kuch na samjha hai

Samjha hai sab ne samjha hai
Insan nahi ye putla hai
Han bina zubaan ki gurya hai
Na koi iska apna hai
Na koi iska paraya hai

Cheen loge humse humko
Aur kahoge kia bigara hai
Yaad aaega har wo pal
Jab jab dil wo torra tha
Har uss cheekhti aurat ka
Jisne tumko roka tha

Source: Irish Times

Jab jab tumne taaqat se
Humko kamzor samjha tha
Magar humne apne dil se
Har zakham ko mitaya tha

Hun dil se ameer aur mazboot hun main
Haan fakhar hai mujhe heera hun mai
Apni jo iss buzdili ko
Tum taaqat samajh kay lagate ho

Anjaan ho tum, jaantay nahi
Pagley heera hun main, zeera nahi
Jo bikhar jaungi wo sehra nahi
Mazboot hun main chattaan ki tarha
Kamzor ho tum auron ki tarha,

Jeetna hai toh izzat seekho!
Humse humari izzat na kheecho
Maango ge toh jaan bhi dainge
Bas aik baar aise hoke toh dekho

Dil ye humara samandar hai
Sou aansu bhi samaa lainge
Bharosa karo jo tum hum par
Hum tumko khud mein piro lainge

To Top