Rebuttal: Baat Kerte Hain SZABIST Karachi Ki… Tu Aaj Baat Ho He Jaye!

Disclaimer*: The articles shared under 'Your Voice' section are sent to us by contributors and we neither confirm nor deny the authenticity of any facts stated below. Parhlo will not be liable for any false, inaccurate, inappropriate or incomplete information presented on the website. Read our disclaimer.

I am writing this article as a response to Mr. Iqbal Yousuf as a clarification for him and many other students who are facing difficulties in clarifications from SZABIST Karachi.

Baat krte hain SZABIST Karachi ki… Tu aaj baat ho he jaye

Pehli baat ye ke afsoos hoa sun kay kay aap nay 4 saal parha or aap ko pata he nahi aap ka program kitnay credit hours ka hay “Zabardast”

Dosri baat agar aap ko wo 8 hazar nahi bharnay thay to you could have studied that course instead, semester ki clearance baad me karwa letay.

Phir aap nay baat ki kay project kay copy writes university ko day do. Han to dedo agar project university ka pas hoga per phir b name tmhara he hoga k “Project was made by “YOUSUF IQBAL” aur tum khud dosra project bana lo with improvement us per university ka koi claim nahi hoga “agar project tmnay khud banaya ho to!

Phir bat ayi competition prize ki to bhai agar university na hoti to kya tum competition mey hissa lay patay ?? Nahi!!! So shukar karo kay prize mill raha hay.

Aao ab cheque per baat karain. Bhai cheque student kay name per banta hey jo usnay university me registration kay waqt likhwaya hota hay! Ab tumhara account nahi hay to is main university ka kya kasoor?

Or 500 rupay procedure kay hotay hain wo cheque cancel hoga phir approval and new cheque milay ga or agar 500 bachanay thay tu usi check ki base per apna account khulwaletay kisi bhi bank main ya CNIC he nahi bana hoga tmhara.

Ab bat karo finance department ki to bhai Taali do haath say bajti hey aik say nahi umeed hay samajh agaya hoga!

Ab baat ai parhai kay standard ki agar classes bunk mar kay wo do chapter he theek say parhlo gay na to poori book samajg ajaye gi. Classes attend kartay nahi or baat kartay hain standard ki.

Ab bhi kuch kehnay hay ya poochna hay to ao chai per miltay hain…

To Top