This Guy From SZABIST Karachi Wants You To Know His ‘Dukh Bhari’ Story

Disclaimer*: The articles shared under 'Your Voice' section are sent to us by contributors and we neither confirm nor deny the authenticity of any facts stated below. Parhlo will not be liable for any false, inaccurate, inappropriate or incomplete information presented on the website. Read our disclaimer.

This guy from SZABIST Karachi took to Facebook to share the experience he has had recently. Apparently, he is not happy with the administration of the school. Here’s his ‘dukh bhari’ story:

“Baat krte hain SZABIST Karachi ki…

Aaj hum clearance k liye gaye tou maloom hua k 4 saal ki mushkilaat k baad bhi aap ki zindagi mae mushkilaat khatam nahi hui. In 4 saal mae hum ko 2 credit hours kum parhaye gaye. Jis ki waja se hum ko Rs. 8000 pay krne parhaingay.

Kis liye? Sirf wo 2 credit hours khareednay k liye jin ki classes bhi nahi hui? Aur shayad aap ki CGPA bhi gir jaye is chakar mae.

Baat krte hain Szabist Karachi ki.Aaj hum clearance k liye gaye tou maloom hua k 4 saal ki mushkilaat k baad bhi aap…

Gepostet von Yousuf Iqbal am Samstag, 22. Juli 2017

Phir baat hoti hai students ne jo project wagera bnaye unke bhi copyrights university ko dedo. Warna degree nahi milegi. Aur jis insaan ko us pe signature krna hai wo ghoomnay gaye hue hain. Aur is form k baghaer koi aur department bhi sign nahi krega clearance k liye. Mtlab aap apni job ya koi bhi kaam chor kr SZABIST mae hi phirtay raho in maslo k liye.

Phir baat aati hai competitions ki. Competition mae jo jeet jata hai usko aap 2 months baad (sirf Rs.10k) ka cheque bna kr detay ho, wo bhi baghaer pochay k kis name se bnana hai aur cross cheque. Ub bunday ka agar account nahi tou wo bank ki khuwari kre, Aur agar aap SZABIST ko bolo k bhai kisi aur k name ka check bna den, tou wo boltay k is k liye 500 rs extra lagengay. Kis baat k? Ek check pharnay k? Sirf 10k ka cheque bna kr diya wo bhi apni marzi k name ka. Bunda ek baar poch leta hai kis name se bnaye.

Aur in sab main sab se achi baat poori finance department ka badtameezi bharra lehja bhi sunno.

Aur parhayi k standard ki baat tou chorr hi do. Starting ke semesters main teachers book se sirf 2 chapters parha kr poora course khatam krdetay hain. Phir agay k semesters mae jo achay teachers hotay hain wo pochtay k aap ne pechay courses mae ye topics parhay the? Tou obviously students ki phat jaati hai k aesa bhi kuch tha. aur phir wo achay teachers un se related topics bhi chor detay hain.”

How many of you can relate to his story? Share your comments.

To Top