[POEM] Solidarity And Compassion

Disclaimer*: The articles shared under 'Your Voice' section are sent to us by contributors and we neither confirm nor deny the authenticity of any facts stated below. Parhlo will not be liable for any false, inaccurate, inappropriate or incomplete information presented on the website. Read our disclaimer.

 Current Indo- Pak Politics

While everyone has been contributing to their share of love and hatred to these situations my mom writes a poetry and expresses her solidarity and compassion within her and the hearts of all peace loving Pakistanis …

Aaj phir tareekh ne khud ko dohraya ha

Aaj phir koi teesra ghus aya hai

Aaj phir usne hamsayon ko ladaya ha

Bohot khoon bahaya ha or khoob jashan manaya ha

Aaj phir padosi ki aahon or siskiyon ki aawaz

Apni cheekhon or aahon baqah mein gum hui

Aaj phir sarhad par naujawano ne apna farz nibhaya ha

Aaj phir aik bhai ne doosre bhai ko maar giraya ha

Aur dushman ne khoob jashan manaya ha

Indo Pak Politics - Parhlo.com

Source: TheNewsTribe

Suna ha hamsaya maa ka jaaya ha

Har dukh dard me pehle kaam aya hai

Yeh kesa hamsaya ha, jo mere bhai ki maut pe girya karne nahi aya hai

Aur kyun usne mujhse apna dard chupaya ha

Aisa pehle bhi aik baar hua tha

Koi teesra hi aya tha

Apas ki naachaki dekh kar

Usne jaal pehlaya tha

Poem on Indo Pak Politics - Parhlo.com

Source: The Indian Express

Ghulaami ka sangal pehnaya tha

Aur batwaara bhi karaya tha

Aaj phir koi ghuss aya hai

Do mulkhon ko ladaya hai

Bohot khoon bahaya hai

Aur khoob jashan manaya hai

Khudara ab bas karo

Aik doosre pe aitbaar karo

Dushman ko beiniqaab karo

Nayi nasal ki rahein hamwaar karo

Aman ki asha ko leke chalo

Aur pyaar ka parchaar karo.

 

To Top